DHAK DHAK by Amandeep Singh

Aapko pata hai na ki aapka dil har pal dhadakta rehta hai? “Dhak-Dhak, Dhak-Dhak”—abhi iss waqt, jab aap yeh padh rahe hain, tab bhi woh aapke liye dhadak raha hai. Dil waise toh kabhi rukta nahi, lekin kabhi-kabhi koi khwab saamne aa jaaye toh yeh apni raftaar bhool zaroor jaata hai. Jaise hum bhool jaate hain zindagi bitane ki koshish mein, zindagi jeena. Jaise hum kisi badi kamyabi ke piche bhaagte-bhaagte, apne andar chhupe prem ke chhoti-chhoti lamhon ko nazarandaz kar dete hain.